Thursday, March 13, 2008

Aaj Duniya Ka Woh Qaul Sacha Laga

Tera Muskurate huve aana Hum ko acha laga
Wo Tera Sharam se guzar jana acha laga
Door se Dekhna wo Tera Pass aa ker
Nazrain Jhukana acha laga
Wo jo Barson se Tere Seene mai Qaid hai
Aankhon se batana acha laga
Tera jate waqt Mudd ker na dekhna
Phir Qadmon ka Ruk jana acha laga
Tuu Falak ki tarha chaya tha Mujh per
Aaj wo Falak ka Toota Tara acha laga
Suna hai Mohabbat mai hote hain her taraf Andhere
Aaj Duniya ka wo Qaul sacha laga

No comments: