Tuesday, March 11, 2008

MeiN tumeiN yaad bhii aaya keh naheiN

MeiN tumeiN yaad bhii aaya keh naheiN
shehar sey door safar kartey hoey rah chaltey ya kaheeN beth key sastaatey hoey aatey jaatey hoey, bey wajah kaheiN ruktey hoey seeRiiyaan chaRtey hoey, zulf ko suljhaatey hoey ghar mein aaey kissi mehmaaN ki tawaazoh kartey chaaey deytey hoey, haathoN sey piyaalii girtey

meiN tumheiN yaad bhii aaya keh naheiN
ghoomtey phirtey hoey, long driving kartey chooRiiyaan leytey hoey, eid ki shopping kartey ghar sey jaatey hoey ya shaam ko ghar aatey hoey beykhiyaalii mein kissi khiyaal mein khho jaatey hoey duniya daarii sey bohat duur nikal jaatey hoey meiN tumheiN yaad bhii aaya keh naheiN pichhley do chaar jo din guzrey heiN kia kahooN kitney kaThin guzrey heiN intezaar itna kiya hai keh saddii ho jaisey beybasii apney moqadar mein likhhii ho jaisey…

No comments: