Tuesday, March 11, 2008

Zinda Rahen To Kia

Zinda rahen to kia hai, jo mar jayen hum to kia
Duniya se khamoshi se guzar jayen hum to kia
Hasti he apni kia hai zamane k saamney
Ik khuwaab hai bikhar jayen hum to kia
Ab koun muntazir hai hamare lie wahan
Shaam aa gayi lout k ghar jayen hum to kia
DiL ki khalish to saath rahe gi tamaam umer
Darya-e-Gham k paar utar jayen hum to kia

No comments: