Tuesday, March 11, 2008

Kya hua tera har ik roz mujhay khat likhna

Kya hua tera har ik roz mujhay khat likhna,
Aur khat may dil-e-betaab ki haalat likhna !

Meri khatir shab-e-furkat mein na sona tera,
Meri yaadon mein parayshaan sa hona tera,
Aur phir khat mein shab-e-hijr ki baabat likhna,
Kya hua tera har ik roz mujhay khat likhna !

Woh sar-e-shaam khayalon mein meray kho jaana,
Aur phir khud hi tera sharm-saar ho jaana,
Woh akelay mein mujhay pyaar bhara khat likhna,
Kya hua tera har ik roz mujhay khat likhna !

Kis liyey tod diyey toonay sabhi ahd-e-wafa,
Kya huey vaaday mohabbat kay bata kuch to bata,
Kis liyey chod diya toonay mujhay khat likhna,
Kya hua tera har ik roz mujhay khat likhna !

No comments: