Aapse kabhi mil na paaye hum
phir bichadne ka darr kaisa
meri har dhadkan me aap ho shamil
phir aapki judaai ka gham kaisa
deedaar-e-yaar ki khatir jee rahe hain hum
unki talaash hain ab har taraf
umr-e-tamaam kisike naam kar diya humne
ab maut se bhi hume ghabdraana kaisa
aapki yaad yun jindagi ko mehka de
bahaar bankar fiza me rang bhar de
sanwaara hai mujhe aapne is kadar
ki patjhad se bhi ab nazren churaana kaisa
sitaron ki mehfil saji thi har taraf
phir bhi roshni ko taras gaye the hum
mahtaab jo ban gaye aap jindagi ke
ab andheron ka humse naata kaisa
khuda se jo maangi humne duayen
kabool kiya unhone hamaari mohabbat ko
zamana hume ab baddua de bhi toh kya
hume ab zamaane se shikayat kaisa
Tuesday, March 11, 2008
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment