Maut ki aagosh mein jab thak key soo jattiii hain maa
Tab kahii jaakar sukoon thora sa paa jaati hain maaaa
Fikar mein bachoo ki kuch istarah ghul jaati hain maa
No jawan hotey howey bhorii nazar aati hain maaa
Eik hi hasraat ko apney azm-o-istaqlal sey
Aansoo sey gusl dekar kudh hi dafnaati hain maa
Aurhtii hain gurbatoo kaa khud yeh boseeda kafan
Chahatoo ka perahan bachey ko pehnaatii hain maa
Bhooka rehnay hi nahi deti yateemoo ko kabhi
Jaaney kis kis sey kahan sey maang kar laati hain maa
Rooh key rishtey ki yeh gheraiyan tou dekhayey
Chot lagtii hain hamarey aur chilaatii hain maaa
Kab zarorat hoon meray bachey ko itnaa soch kar
Jaagti rehtii aaankhen aur soooo jaati hain maaa
Haadyoon ka ras pila kar apney dil key chain koo
Kitnii raatey mein tou khalii paet sojaati hain maaa
Jaaney kitnii barf si raatoo mein aisaa bhi howa
Bacha tou chatii pey hain gelay mein sojatii hain maa
Thursday, March 13, 2008
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment