Pahli pahli barish ki buando ke jaisi
chamkti khankti si wo ladki
ab se meri zindgi me aayi
indagi ko surmayi hone ka bahana mil gaya
Bhigi mitti ki soundhi khooshbo ke jaisi
anso me ghulti se wo ladki
ab se meri zindgi me aayi
indagi ko mehakne ka bahana mil gaya
Gulab par tehre huye pani ke jaisi
hoobsoorat chanchal si wo ladki
ab se meri zindgi me aayi
indagi ko ranginiyo me dubne ka bahana mil gaya
bheege huye mousam ki tazgi ke jaisi
ar din nayi nayi, sokh si wo ladki
ab se meri zindagi me aayi
indagi ko har subah nind se uthne ka bahana mil gaya
No comments:
Post a Comment