Monday, June 30, 2008

matlab (selfishness)-the truth

kahe abhi is duniya me matlab ka matlab hi samjha jata he,
or kisi ko kya dekhe bas apna matlab hi dekha jata he,

yaha har insaaan matlab ki saanse leta he,
matlab ke liye hi jita he matlab par hi marta he,

yaha jyadatar bhagwan nahi matlab hi pooja jata he,
sachai ka naam nahi matlab ka hi gun gaya jata he,

hal bura he uska yaha 'abhi' jo sach kehta he,
dil ko na dekhe koi bas matlab hi dekha jata he,

kadam kadam par fareb yaha apno ka roop le leta he,
meri nazron se dekho to swartha yahi kehlata he........

matlab=swartha= selfishness
--
abhi-ek tanha dil

kuchh yu kaha fizaon ne mujhse samet lo hume apni bahon me,
mene kaha he ye mazboori meri,
ki bahon me sametne ko manzile bahut he rahon me

No comments: