Monday, June 16, 2008

Aah bhi jao

Aah bhi jao ke zindagi kam hai
Tum nahi ho to har Khushi kam hai
Vaadaa kar ke kyoun aye nahi
shehar mein aaj raushani kam hai
Jaane kya ho gaya hai mausam ko
dhuup ziyaada hai chandni kam hai
Aaina dekh kar Khayaal aya
aaj kal unki dosti kam hai
Tere dam se hi main mukammal hoon
bin tere teri yadon ka sahara kam hai

No comments: