Saturday, June 28, 2008

Aazma kar dekho

dhoop me niklo ghataaon me naha kar dekho,

zindgi kya hai kitabo ko hata kar dekho

patthro me bhi dil hota hai, dard hota hai,

apne ghar ke daro deewar saja kar dekho.

faasla nazro ka dhokha bhi to ho sakta hai,

wo mile ya na mile haath badha kar dekho

wo sitara hai chamakne do usse aankoh me,

kya zaroori hai usse dil me basa kar dekho

zindgi kya hai kitabo ko hata kar dekho.....

No comments: