Tuesday, January 8, 2008

Dhool...

sabke liye sab waisa hi hai,wakai kuch bhi to nahi badla,
par shayad ye bas j
indagi ka ek padav tha,
aur ab dikh raha hai aage ka ek lamba safar aur ek aur padav agla,

kuch waqt ke liye ek nayi duniya ki sair ki,
par wo bas ek khubsoorat sham thi jisse pehle ek bahut lambi dopahar thi,
wo raat baki raaton ki tarah kali andheri nahi taaron se saji kuch khubsoorat rishton ki panah thi,

jinki shayad usse us poori dopahar chah thi,
kitne hi haseen lamhe
in mile,
kitne hi haseen khwab sanjo gayi,
aur isliye shayad wo kuch jada hi gehri neend me
in so gayi,
ab hakeekat ne jhakjhor kar uthaya hai,

aur is padav ko chod aage badne ko ek lamba raasta dikhaya hai,
rojana ki tarah aaram se j
indagi basar ho rahi thi,
achanak saans thamne se lagi hai,
sanjokar rakhne ke liye samete un rishton un lamhon parna jaane kyun waqt se pehle hi dhool si jamne lagi hai,

dhool ko jhadne ko usne unhein haaton mein to uthaya hai,
par is baar vidai samaroh me
in ashkon ko nahi bulaya hai,
waise to is waqt wo hote b
in bulaye mehman hain,
aur unhe
in lagta hai ki wo kai baaton se anjaan hai,
par ye bas unki ek galatfehmi ka saya hai,

wo jaanti hai ki khudke saath usne ashkon ko bhi dard pahunchaya hai,
ab shayad kisi bhi rishte ka uske baare me
in kuch bhi sochna munasib hai,
par shayad wo har rishte ki harek soch se waqif hai,
aane wali subah ki roshni me
in ashkon ki kahani to bhoolhi jayenge,
aur aane wali dopahar me
in nayi panah dhunde mein mashgool ho jayenge,
par isi ka naam to j
indagi hai,

saans ka kya hai na jaane kitni hi baar is tarah thami hai,
har baar ek naya ehsaas mehsoos kiya hai,

aur har baar kuch naye rishton ko us bakse mein mehfooz kiya hai,
han shayad jaate hue kisi ko dard pahunchane wali aise baate
in batani nahi hoti,
par ye bhi sach hai ki dhool lagne se cheeze
in purani nahi hoti

No comments: