Tuesday, January 8, 2008

Mehfooz....

paani ki ek boond ki tarah kisi sagar mein kho jana nahi chahti
mujhe ek phool ki tarah baki phoolon ke sath kyari ko mehkana hai
lal rang ki tarah akaash ke neele rang me
in milna nahi chahti
mujhe ek sitare ki tarah baki taron ke sath akaash ko sajana hai

kitne hi dost, kuch door kuch paas hain
kitne hi rishte, jo bahut khas hain
par ek jo rishta apne aap se hai use bhi khas banana hai
gam baante ha
in, khushiyan bhi baati hain,
doston ke sath poore d
in aur kitni hi raatein kaati hai
par jo waqt khudke sath bitaaya, wo bhi ek anmol khazana hai

jindagi mein dosti aur pyar ki dhup sunahri ho
par fir bhi ek choti si duniya jo sirf aur sirf meri ho
ek bahut khubsoorat ehsaas apni us choti si duniya me
in kabhi kabhi kho jana hai

jab kisi rishte mein beech raah mein atak jaun
ya duniya ki bheed me
in kahin bhatak jaaun
to apni wahi choti si duniya mera sabse mehfooz thikana hai

No comments: