Tuesday, January 8, 2008

Raat



bhor ke bad d
in to hua par kya mujhe hi aisa laga ki is bar fir raat jaldi aa gayi,
jis roshni ka intezar tha pata hi nahi chala kab aakar kab wo andhere mein fir sama gayi

is bar kuch jada hi lambi thi, andhera bhi gehra tha jismein kho gayi,
thaki hui thi pata hi nahi chala kab rote rote so gayi

ab bhi raat hai ya wo lamba din nikal gaya hai,
ab bhi patjhad hai ya mausam badal gaya hai

meine abhi aankhein nahi kholi hain ya shayad mein kholna nahi chahti,
khwaabon sapno ke bare mein kuch bhi sochna ya bolna nahi chahti

khwaab khubsurat to hote hain, par jada lambi raat nahi,
aah..sapno ke baare mein ab koi baat nahi

ab bas jald hi aankh kholte hi wo roshni sunhari chahti hun,
aur agar usmein der hai to tab tak ke liye neend bahut gehri chahti hun
Align Center

No comments: