Tuesday, January 8, 2008

Mera Basant

Jab dil mein itna kuch ho aur hath sath na de...
itni khushi ek sath to koi bhi kaynaat na de...

jab tanha akele ho tab tanhayi se dar lagta hai
jab dost aise mil jaye
in to unse judai ka dar lagta hai

dimag ke khayalon ko kagaz par utarne ke liye shabdkosh me
in shabd na mile
aise phool to meri kyari me
in pehle kabhi nahi khile

is baar basant jaise mere liye hi aya hai
aur apne saath mere liye itna kuch laya hai

kuch dost aise hote ha
in, jo tez dhup mein saya banke aate hain
fir j
indagi mein saya bankar reh jaate hain

par doston aur waqt me
in shayad koi dushmani si hai
unka saath ho to waqt ki narazagi lazmi si hai

mujhe malo
om hai, kuch waqt baad sab kuch badal jayega
par kam se kam is basant ka ehsaas aane wale patjhad ko bitane me
in to kaam ayega

kyun na
inke saath bitaye har ek pal ko sanjokar rakh lun
aur aane wale waqt ka hisab
in 3-4 mahino mein hi pura kar lun

(mera ihsaas bayan kare aise koi tasveer nahi mili...is aashuftaah ke liye maafi chahti hun)

No comments: